Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo shajar dhup mein jale honge

Rasheed Khan Raza

jo shajar dhup mein jale honge

Rasheed Khan Raza

MORE BYRasheed Khan Raza

    jo shajar dhuup meñ jale hoñge

    kyā samar deñge kyā phale hoñge

    vo jo fōtpath par pale hoñge

    āḳhir insāñ haiñ kuchh bhale hoñge

    maiñ ne maanā ke hoñge muhr-ba-lab

    ashk āñkhoñ se to Dhale hoñge

    gardish-e-vaqt phir muḳhālif chal

    phir javāñ mere hausle hoñge

    tah meñ DhūñDeñge to mileñge guhar

    āzmā.ish ke marhale hoñge

    un guloñ ko chubhan kyā ehsās

    saath kāñToñ ke jo pale hoñge

    dard siine meñ lāzmī hai 'razā'

    jab zamīñ hai to zalzale hoñge

    jo shajar dhup mein jale honge

    kya samar denge kya phale honge

    wo jo footpath par pale honge

    aaKHir insan hain kuchh bhale honge

    main ne mana ke honge muhr-ba-lab

    ashk aankhon se to Dhale honge

    gardish-e-waqt phir muKHalif chal

    phir jawan mere hausle honge

    tah mein DhunDenge to milenge guhar

    aazmaish ke marhale honge

    un gulon ko chubhan ka kya ehsas

    sath kanTon ke jo pale honge

    dard sine mein lazmi hai 'raza'

    jab zamin hai to zalzale honge

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now