Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo shaKHs muddaton mere shaidaiyon mein tha

Shakeela Bano Bhopali

jo shaKHs muddaton mere shaidaiyon mein tha

Shakeela Bano Bhopali

MORE BYShakeela Bano Bhopali

    jo shaḳhs muddatoñ mire shaidā.iyoñ meñ thā

    aafat ke vaqt vo bhī tamāshā.iyoñ meñ thā

    us ilaaj koī masīhā na kar sakā

    jo zaḳhm merī ruuh gahrā.iyoñ meñ thā

    vo the bahut qarīb to thī garmi-e-hayāt

    shola hujūm-e-shauq purvā.iyoñ meñ thā

    koī bhī saaz un taḌap ko na sakā

    vo soz vo gudāz jo shahnā.iyoñ meñ thā

    bazm-e-tasavvurāt meñ yādoñ raushnī

    aalam ajiib raat tanhā.iyoñ meñ thā

    us bazm meñ chhiḌī jo kabhī jāñ-dahī baat

    us dam hamārā zikr bhī saudā.iyoñ meñ thā

    kuchh vaz-e-ehtiyāt se 'bāno' the ham bhī duur

    kuchh dostoñ haath bhī rusvā.iyoñ meñ thā

    jo shaKHs muddaton mere shaidaiyon mein tha

    aafat ke waqt wo bhi tamashaiyon mein tha

    us ka ilaj koi masiha na kar saka

    jo zaKHm meri ruh ki gahraiyon mein tha

    wo the bahut qarib to thi garmi-e-hayat

    shola hujum-e-shauq ka purwaiyon mein tha

    koi bhi saz un ki taDap ko na pa saka

    wo soz wo gudaz jo shahnaiyon mein tha

    bazm-e-tasawwuraat mein yaadon ki raushni

    aalam ajib raat ki tanhaiyon mein tha

    us bazm mein chhiDi jo kabhi jaan-dahi ki baat

    us dam hamara zikr bhi saudaiyon mein tha

    kuchh waz-e-ehtiyat se 'bano' the hum bhi dur

    kuchh doston ka hath bhi ruswaiyon mein tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now