Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo shaKHs mujh mein baqi hai wo ‘madhwi’ nahin

Madhavi Shankar

jo shaKHs mujh mein baqi hai wo ‘madhwi’ nahin

Madhavi Shankar

MORE BYMadhavi Shankar

    jo shaḳhs mujh meñ baaqī hai vo ‘mādhvī’ nahīñ

    kuchh saal ho chuke haiñ ḳhabar aaj nahīñ

    tum se ḳhafā nahīñ huuñ ye aadat hai merī

    jab tak bahut zarūrī na ho boltī nahīñ

    kah to rahe haiñ baiThiye kuchh der paas meñ

    aur ye bhī kah rahe haiñ jagah aap nahīñ

    sāda-mizāj dil pe chaḌhā.e tamām rang

    phir ye shikāyateñ bhī ki vo sādgī nahīñ

    kyoñ rāzdār kah ke use āzmā.eñ ham

    so apne dil baat use bhī kahī nahīñ

    ab bhī nazar bachāne pur-zor koshisheñ

    ya.anī abhī maiñ us ke liye ajnabī nahīñ

    jo shaKHs mujh mein baqi hai wo ‘madhwi’ nahin

    kuchh sal ho chuke hain KHabar aaj ki nahin

    tum se KHafa nahin hun ye aadat hi hai meri

    jab tak bahut zaruri na ho bolti nahin

    kah to rahe hain baiThiye kuchh der pas mein

    aur ye bhi kah rahe hain jagah aap ki nahin

    sada-mizaj dil pe chaDhae tamam rang

    phir ye shikayaten bhi ki wo sadgi nahin

    kyon raazdar kah ke use aazmaen hum

    so apne dil ki baat use bhi kahi nahin

    ab bhi nazar bachane ki pur-zor koshishen

    yani abhi main us ke liye ajnabi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now