Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo shamshir teri alam dekhte hain

Asifud Daula

jo shamshir teri alam dekhte hain

Asifud Daula

MORE BYAsifud Daula

    jo shamshīr terī alam dekhte haiñ

    to vohīñ sar apnā qalam dekhte haiñ

    tujhe ġhair se jab baham dekhte haiñ

    na dekhe koī jo ki ham dekhte haiñ

    jo chāheñ ki likkheñ kuchh ahvāl dil

    to hāthoñ ko apne qalam dekhte haiñ

    to jaldī se aavar na mere masīhā

    koī dam ko rāh-e-adam dekhte haiñ

    galī meñ butoñ shab-o-roz 'āsif'

    tamāshā ḳhudā.ī ham dekhte haiñ

    jo shamshir teri alam dekhte hain

    to wohin sar apna qalam dekhte hain

    tujhe ghair se jab baham dekhte hain

    na dekhe koi jo ki hum dekhte hain

    jo chahen ki likkhen kuchh ahwal dil ka

    to hathon ko apne qalam dekhte hain

    to jaldi se aawar na mere masiha

    koi dam ko rah-e-adam dekhte hain

    gali mein buton ki shab-o-roz 'asif'

    tamasha KHudai ka hum dekhte hain

    Source:

    Lucknow Ke Chand Namwar Shora-volume-001 (Pg. ebook-65 page-66)

    • Author: Syed Sulaiman Husain
      • Edition: 1973
      • Publisher: Uttar Pradesh Urdu Academy, Lucknow
      • Year of Publication: 1973
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now