Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo sikhana hai to phir is Dhang ki baaten sikha

Zaki Tariq Barabankavi

jo sikhana hai to phir is Dhang ki baaten sikha

Zaki Tariq Barabankavi

MORE BYZaki Tariq Barabankavi

    jo sikhānā hai to phir is Dhang bāteñ sikhā

    kar luuñ sab ke dil meñ ghar aisī munājāteñ sikhā

    mujh ko tanhā karne se pahle ai mere ham-nafas

    kaise kāTūñgā maiñ tere hijr rāteñ sikhā

    duur se dīdār bas puurī hoñgī hasrateñ

    jo banā deñ āshnā aisī mulāqāteñ sikhā

    apne shauq-e-girya se mausam-zada bādal ko

    kaise be-mausam huā kartī haiñ barsāteñ sikhā

    raat ko din karne vaale ai mire shātir aziiz

    jaise chaltā hai yuuñ chalnā mujhe ghāteñ sikhā

    vird ne jin ke tujhe ḳhushiyāñ ḳhushiyāñ baḳhshī haiñ

    mujh ko bhī paḌhnā mohabbat vo āyāteñ sikhā

    dard-e-dil āñkhoñ meñ aañsū aur tabassum pyaar meñ

    kaise jaatī haiñ ye anmol sauġhāteñ sikhā

    maiñ bhī me.arāj-e-mohabbat chāhtā huuñ jān-e-man

    mujh ko andāz-e-mohabbat hidāyāteñ sikhā

    ishq se nā-āshnā huuñ tere jalvoñ qasam

    aa ke apne husn-e-dilkash mudārāteñ sikhā

    jo sikhana hai to phir is Dhang ki baaten sikha

    kar lun sab ke dil mein ghar aisi munajaten sikha

    mujh ko tanha karne se pahle ai mere ham-nafas

    kaise kaTunga main tere hijr ki raaten sikha

    dur se didar ki bas puri hongi hasraten

    jo bana den aashna aisi mulaqaten sikha

    apne shauq-e-girya se mausam-zada baadal ko tu

    kaise be-mausam hua karti hain barsaten sikha

    raat ko din karne wale ai mere shatir aziz

    jaise tu chalta hai yun chalna mujhe ghaten sikha

    wird ne jin ke tujhe KHushiyan hi KHushiyan baKHshi hain

    mujh ko bhi paDhna mohabbat ki wo aayaten sikha

    dard-e-dil aankhon mein aansu aur tabassum pyar mein

    kaise di jati hain ye anmol saughaten sikha

    main bhi mearaj-e-mohabbat chahta hun jaan-e-man

    mujh ko andaz-e-mohabbat ki hidayaten sikha

    ishq se na-ashna hun tere jalwon ki qasam

    aa ke apne husn-e-dilkash ki mudaraaten sikha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now