jo sitam karna hai kar jaegi
jo sitam karnā hai kar jā.egī
raat aa.ī hai guzar jā.egī
aql ko merī na mohmal samjho
kaam jo karnā hai kar jā.egī
hogī us samt qayāmat barpā
jis taraf un kī nazar jā.egī
baal un ke bhī bikhar jā.eñge
merī mayyat jo guzar jā.egī
jab maiñ manzil pe pahuñch jā.ūñgā
saañs ḳhud merī Thahar jā.egī
'ja.afarī' raat to guzregī magar
terī tanhā.ī kidhar jā.egī
jo sitam karna hai kar jaegi
raat aai hai guzar jaegi
aql ko meri na mohmal samjho
kaam jo karna hai kar jaegi
hogi us samt qayamat barpa
jis taraf un ki nazar jaegi
baal un ke bhi bikhar jaenge
meri mayyat jo guzar jaegi
jab main manzil pe pahunch jaunga
sans KHud meri Thahar jaegi
'jafari' raat to guzregi magar
teri tanhai kidhar jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.