Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo surat dekh li us mah-laqa ki

KHanjar ajmerii

jo surat dekh li us mah-laqa ki

KHanjar ajmerii

MORE BYKHanjar ajmerii

    jo sūrat dekh us mah-laqā

    nazar aa.ī mujhe qudrat ḳhudā

    abhī qabroñ se murde uTh khaḌe hoñ

    suneñ āvāz gar raftār-e-pā

    mirā dil le ke mujh se phir gayā hai

    vafā ke badle zālim ne daġhā

    kiye jaate ho mujh se be-vafā.ī

    zabāñ merī nahīñ ab tak hai shākī

    hazāroñ ġhair ko dete ho bose

    liyā gar ek maiñ ne kyā ḳhatā

    kiye jaatā hai jaur-o-zulm mujh par

    kuchh āḳhir intihā bhī hai jafā

    mujhe kaafī hai terā sāya-e-zulf

    nahīñ ḳhvāhish hai kuchh zill-e-humā

    na aaya par na aaya vo sitamgar

    ḳhushāmad bahut kuchh iltijā

    tumhāre āb-e-‘ḳhanjar’ huuñ pyāsā

    nahīñ hai aarzū āb-e-baqā

    jo surat dekh li us mah-laqa ki

    nazar aai mujhe qudrat KHuda ki

    abhi qabron se murde uTh khaDe hon

    sunen aawaz gar raftar-e-pa ki

    mera dil le ke mujh se phir gaya hai

    wafa ke badle zalim ne dagha ki

    kiye jate ho mujh se be-wafai

    zaban meri nahin ab tak hai shaki

    hazaron ghair ko dete ho bose

    liya gar ek main ne kya KHata ki

    kiye jata hai jaur-o-zulm mujh par

    kuchh aaKHir intiha bhi hai jafa ki

    mujhe kafi hai tera saya-e-zulf

    nahin KHwahish hai kuchh zill-e-huma ki

    na aaya par na aaya wo sitamgar

    KHushamad ki bahut kuchh iltija ki

    tumhaare aab-e-‘KHanjar’ ka hun pyasa

    nahin hai aarzu aab-e-baqa ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now