jo tabiat se khel sakta hai
jo tabī'at se khel saktā hai
jārhiyyat se khel saktā hai
hausla us hunar ko kahte haiñ
jo aziyyat se khel saktā hai
ye sharaf aadmī ko hāsil hai
ādmiyyat se khel saktā hai
fāqa-kash be-niyāz hotā hai
āmariyyat se khel saktā hai
go ki 'sājid'-latīf hai lekin
barbariyat se khel saktā hai
jo tabi'at se khel sakta hai
jarhiyyat se khel sakta hai
hausla us hunar ko kahte hain
jo aziyyat se khel sakta hai
ye sharaf aadmi ko hasil hai
aadmiyyat se khel sakta hai
faqa-kash be-niyaz hota hai
aamariyyat se khel sakta hai
go ki 'sajid'-latif hai lekin
barbariyat se khel sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.