jo teri did ko tarsa bahut hai
jo terī diid ko tarsā bahut hai
use ye hijr kī duniyā bahut hai
mohabbat ke samundar meñ na utro
yahāñ paanī abhī gahrā bahut hai
kabhī aao ise ābād karne
mirā vīrān dil tanhā bahut hai
hameñ la.al-o-javāhar se ġharaz kyā
ki chāhat kā tirī gahnā bahut hai
baḌī mahñgī paḌegī zindagānī
lahū insān kā sastā bahut hai
abad tak tishnagī qaa.em rahegī
azal se dil mirā pyāsā bahut hai
tumheñ bhī chhīn le jaa.e na koī
tumhāre baare meñ sochā bahut hai
samajhte haiñ hameñ apnā vo 'aḳhtar'
hamāre vāste itnā bahut hai
jo teri did ko tarsa bahut hai
use ye hijr ki duniya bahut hai
mohabbat ke samundar mein na utro
yahan pani abhi gahra bahut hai
kabhi aao ise aabaad karne
mera viran dil tanha bahut hai
hamein lal-o-jawahar se gharaz kya
ki chahat ka teri gahna bahut hai
baDi mahngi paDegi zindagani
lahu insan ka sasta bahut hai
abad tak tishnagi qaem rahegi
azal se dil mera pyasa bahut hai
tumhein bhi chhin le jae na koi
tumhaare bare mein socha bahut hai
samajhte hain hamein apna wo 'aKHtar'
hamare waste itna bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.