Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo teri yaadon se is dil ka aaftab mile

Sharib Mauranwi

jo teri yaadon se is dil ka aaftab mile

Sharib Mauranwi

MORE BYSharib Mauranwi

    jo terī yādoñ se is dil āftāb mile

    to merī āñkhoñ ko dariyāoñ ḳhitāb mile

    mire makān-e-tamannā sīḌhiyoñ pe kabhī

    tirā shabāb mujhe sūrat-e-gulāb mile

    kiran nokeñ chubhīñ tan meñ tab huā ehsās

    ki ḳhanjaroñ tarah mujh se āftāb mile

    tumhārī āñkhoñ ke in nīm-vā darīchoñ meñ

    azāb-e-dīd sūrat shikasta ḳhvāb mile

    gunāh ek donoñ hai to phir ye kyuuñ

    use savāb mile aur mujhe azaab mile

    mirā salām ġharīb-ul-vatan se kah denā

    kabhī jo dasht meñ nezoñ pe āftāb mile

    jo teri yaadon se is dil ka aaftab mile

    to meri aankhon ko dariyaon ka KHitab mile

    mere makan-e-tamanna ki siDhiyon pe kabhi

    tera shabab mujhe surat-e-gulab mile

    kiran ki noken chubhin tan mein tab hua ehsas

    ki KHanjaron ki tarah mujh se aaftab mile

    tumhaari aankhon ke in nim-wa darichon mein

    azab-e-did ki surat shikasta KHwab mile

    gunah ek hi donon ka hai to phir ye kyun

    use sawab mile aur mujhe azab mile

    mera salam gharib-ul-watan se kah dena

    kabhi jo dasht mein nezon pe aaftab mile

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now