Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo thi ilaqe mein sab se hasin bech aae

Chand Akbarabadi

jo thi ilaqe mein sab se hasin bech aae

Chand Akbarabadi

MORE BYChand Akbarabadi

    jo thī ilāqe meñ sab se hasīn bech aa.e

    ham apne purkhoñ saarī zamīn bech aa.e

    purāne logoñ ne gañjoñ ko kañghiyāñ bechīñ

    na.e jo log haiñ sāñpoñ ko biin bech aa.e

    bharam thā dil meñ jo mahfil vo bhī dil se gayā

    suḳhan to biktā thā tum sāma.īn bech aa.e

    nahīñ ye ġham ki amānat meñ kyuuñ ḳhayānat

    mujhe ye dukh hai vo apnā yaqīn beach aa.e

    jo log khāte haiñ urdu ke naam roTī

    laboñ pe un ke hai bas siin shiin bech aa.e

    pakaḌ zañg meñ lipTī hoī na.ī tahzīb

    milā thā ham ko jo sone diin bech aa.e

    jo thi ilaqe mein sab se hasin bech aae

    hum apne purkhon ki sari zamin bech aae

    purane logon ne ganjon ko kanghiyan bechin

    nae jo log hain sanpon ko bin bech aae

    bharam tha dil mein jo mahfil ka wo bhi dil se gaya

    suKHan to bikta tha tum samain bech aae

    nahin ye gham ki amanat mein kyun KHayanat ki

    mujhe ye dukh hai wo apna yaqin beach aae

    jo log khate hain urdu ke nam ki roTi

    labon pe un ke hai bas sin shin bech aae

    pakaD li zang mein lipTi hoi nai tahzib

    mila tha hum ko jo sone sa din bech aae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now