Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo tum aao to phir jine ke saman ho bhi sakte hain

Azmat Bhopali

jo tum aao to phir jine ke saman ho bhi sakte hain

Azmat Bhopali

MORE BYAzmat Bhopali

    jo tum aao to phir jiine ke sāmāñ ho bhī sakte haiñ

    rafū ye chāk-e-dāmān-o-garebāñ ho bhī sakte haiñ

    vo āñkheñ pāsbāñ hoñ dil to dil patā kaisā

    kahīñ gulchīñ nigahbān-e-gulistāñ ho bhī sakte haiñ

    jinheñ ab tak na aaya hañs ke mauj-e-ġham ko Thukrānā

    vo kam-himmat kisī din nazr-e-tūfāñ ho bhī sakte haiñ

    zamāna muntazir hai ik na.e rang-e-haqīqat

    ye afsāne kahīñ tārīḳh-e-insāñ ho bhī sakte haiñ

    hamīñ par aam haiñ daur-e-vafā meñ un bedādeñ

    hamīñ par ḳhatm saare ahd-o-paimāñ ho bhī sakte haiñ

    jo be-maqsad tamannāoñ gahvāra rahā barsoñ

    kahīñ is dil ābādī ke imkāñ ho bhī sakte haiñ

    maiñ apnī dāstān-e-ġham ko kyā unvān duuñ 'azmat'

    murattab dil ke aurāq-e-pareshāñ ho bhī sakte haiñ

    jo tum aao to phir jine ke saman ho bhi sakte hain

    rafu ye chaak-e-daman-o-gareban ho bhi sakte hain

    wo aankhen pasban hon dil ki to dil ka pata kaisa

    kahin gulchin nigahban-e-gulistan ho bhi sakte hain

    jinhen ab tak na aaya hans ke mauj-e-gham ko Thukrana

    wo kam-himmat kisi din nazr-e-tufan ho bhi sakte hain

    zamana muntazir hai ek nae rang-e-haqiqat ka

    ye afsane kahin tariKH-e-insan ho bhi sakte hain

    hamin par aam hain daur-e-wafa mein un ki bedaden

    hamin par KHatm sare ahd-o-paiman ho bhi sakte hain

    jo be-maqsad tamannaon ka gahwara raha barson

    kahin is dil ki aabaadi ke imkan ho bhi sakte hain

    main apni dastan-e-gham ko kya unwan dun 'azmat'

    murattab dil ke auraq-e-pareshan ho bhi sakte hain

    Source:

    Charagh-e-Raahguzar (Pg. 50)

    • Author: Azmat Bhopali
      • Publisher: Azmat Bhopali
      • Year of Publication: 1985
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now