Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo tumhaare lab-e-jaan-baKHsh ka shaida hoga

Akbar Allahabadi

jo tumhaare lab-e-jaan-baKHsh ka shaida hoga

Akbar Allahabadi

MORE BYAkbar Allahabadi

    jo tumhāre lab-e-jāñ-baḳhsh shaidā hogā

    uTh bhī jā.egā jahāñ se to masīhā hogā

    vo to muusā huā jo tālib-e-dīdār huā

    phir vo kyā hogā ki jis ne tumheñ dekhā hogā

    qais zikr mire shān-e-junūñ ke aage

    agle vaqtoñ koī bādiya-paimā hogā

    aarzū hai mujhe ik shaḳhs se milne bahut

    naam kyā luuñ koī allāh bandā hogā

    lāl-e-lab tire bosa to maiñ letā huuñ magar

    Dar ye hai ḳhūn-e-jigar baad meñ piinā hogā

    jo tumhaare lab-e-jaan-baKHsh ka shaida hoga

    uTh bhi jaega jahan se to masiha hoga

    wo to musa hua jo talib-e-didar hua

    phir wo kya hoga ki jis ne tumhein dekha hoga

    qais ka zikr mere shan-e-junun ke aage

    agle waqton ka koi baadiya-paima hoga

    aarzu hai mujhe ek shaKHs se milne ki bahut

    nam kya lun koi allah ka banda hoga

    lal-e-lab ka tere bosa to main leta hun magar

    Dar ye hai KHun-e-jigar baad mein pina hoga

    RECITATIONS

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Fasih Akmal

    jo tumhaare lab-e-jaan-baKHsh ka shaida hoga Fasih Akmal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now