Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo tu nahin hai to lagta hai ab ki tu kya hai

Fasih Akmal

jo tu nahin hai to lagta hai ab ki tu kya hai

Fasih Akmal

MORE BYFasih Akmal

    jo nahīñ hai to lagtā hai ab ki kyā hai

    tamām ālam-e-vahshat ye chaar kyā hai

    kisī yaad meñ āñkheñ chhalaktī rahtī haiñ

    to aur maslak-e-ushshāq meñ vuzū kyā hai

    udaas kar gayā ye kaun masnad-e-gul ko

    ye shor o shain hai kaisā ye hā-o-hū kyā hai

    tire huzūr bhī apne mas.aloñ meñ rahe

    samajh na paa.e ki āñkhoñ ke rū-ba-rū kyā hai

    suḳhan-tarāz ho jab vo to aisā lagtā hai

    diloñ pe nuur bārish hai guftugū kyā hai

    har ek aañkh meñ aañsū har ek lab pe fuġhāñ

    ye ek shor-e-qayāmat kū-ba-kū kyā hai

    jo tu nahin hai to lagta hai ab ki tu kya hai

    tamam aalam-e-wahshat ye chaar su kya hai

    kisi ki yaad mein aankhen chhalakti rahti hain

    to aur maslak-e-ushshaq mein wuzu kya hai

    udas kar gaya ye kaun masnad-e-gul ko

    ye shor o shain hai kaisa ye ha-o-hu kya hai

    tere huzur bhi apne hi masalon mein rahe

    samajh na pae ki aankhon ke ru-ba-ru kya hai

    suKHan-taraaz ho jab wo to aisa lagta hai

    dilon pe nur ki barish hai guftugu kya hai

    har ek aankh mein aansu har ek lab pe fughan

    ye ek shor-e-qayamat sa ku-ba-ku kya hai

    RECITATIONS

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Fasih Akmal

    jo tu nahin hai to lagta hai ab ki tu kya hai Fasih Akmal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now