jo waqt aaya to sab ne dekha ali akela hi DaT gaya hai
jo vaqt aayā to sab ne dekhā 'alī' akelā hī DaT gayā hai
vo jis ko laḌnā thā pahlī saf meñ vo sab se pahle palaT gayā hai
jo maiñ ne dushman ke maañ kī photo zamīñ pe girne se pahle thāmī
vo bhaa.ī kah kar baḌhā hai aage mire gale se lipaT gayā hai
ham aglī pīḌhī se kyā kaheñge ki ham baḌe the ki yuuñ laḌe the
ab aur kitnā lahū bahegā zamīñ kā siina to phaT gayā hai
ab is se aage kahāniyoñ kī shab-e-mohabbat tulū' hogī
ba-qaul 'azhar-farāġh' yaaro hamārā ḳhema simaT gayā hai
ġharīb maaoñ ke laa'l beTe bharī javānī meñ rul ga.e haiñ
hamārī mehnat kā jo sila thā amīr-zādoñ meñ baT gayā hai
jo waqt aaya to sab ne dekha 'ali' akela hi DaT gaya hai
wo jis ko laDna tha pahli saf mein wo sab se pahle palaT gaya hai
jo main ne dushman ke man ki photo zamin pe girne se pahle thami
wo bhai kah kar baDha hai aage mere gale se lipaT gaya hai
hum agli piDhi se kya kahenge ki hum baDe the ki yun laDe the
ab aur kitna lahu bahega zamin ka sina to phaT gaya hai
ab is se aage kahaniyon ki shab-e-mohabbat tulu' hogi
ba-qaul 'azhar-faragh' yaro hamara KHema simaT gaya hai
gharib maon ke la'l beTe bhari jawani mein rul gae hain
hamari mehnat ka jo sila tha amir-zadon mein baT gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.