aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo zaKHm lage hain mere dil par nahin dekha

Masoom Sharqi

jo zaKHm lage hain mere dil par nahin dekha

Masoom Sharqi

MORE BYMasoom Sharqi

    jo zaḳhm lage haiñ mire dil par nahīñ dekhā

    tum ne mirā hāl-e-dil-e-muztar nahīñ dekhā

    āñkhoñ meñ to barbādī-e-gulshan thā manzar

    phūloñ taraf aañkh uThā kar nahīñ dekhā

    taqdīr meñ the nahīñ ārām ke lamhe

    ġhurbat meñ kaTī umr kabhī ghar nahīñ dekhā

    shāyad koī dīvāna nahīñ aaj sar-e-rāh

    hāthoñ meñ kisī tifl ke patthar nahīñ dekhā

    katrā ke guzar jaatī hai jis dar se masarrat

    nādār tum ne kabhī vo ghar nahīñ dekhā

    maujoñ ke thapeḌoñ se na hogā kabhī vāqif

    jis ne kabhī dariyā meñ utar kar nahīñ dekhā

    thiiñ manzil-e-fardā taraf merī nigāheñ

    maazī taraf maiñ ne palaT kar nahīñ dekhā

    'ma.asūm' kahūñ kis se mohabbat fasāna

    ik ḳhvāb thā jo maiñ ne mukarrar nahīñ dekhā

    jo zaKHm lage hain mere dil par nahin dekha

    tum ne mera haal-e-dil-e-muztar nahin dekha

    aankhon mein to barbaadi-e-gulshan ka tha manzar

    phulon ki taraf aankh uTha kar nahin dekha

    taqdir mein the hi nahin aaram ke lamhe

    ghurbat mein kaTi umr kabhi ghar nahin dekha

    shayad koi diwana nahin aaj sar-e-rah

    hathon mein kisi tifl ke patthar nahin dekha

    katra ke guzar jati hai jis dar se masarrat

    nadar ka tum ne kabhi wo ghar nahin dekha

    maujon ke thapeDon se na hoga kabhi waqif

    jis ne kabhi dariya mein utar kar nahin dekha

    thin manzil-e-farda ki taraf meri nigahen

    mazi ki taraf main ne palaT kar nahin dekha

    'masum' kahun kis se mohabbat ka fasana

    ek KHwab tha jo main ne mukarrar nahin dekha

    Source:

    Aks Taab (Pg. 123)

    • Author: Masoom Sharqi
      • Publisher: Masoom Sharqi
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now