Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo zindagi mein kabhi justuju nahin karta

Ibrahim Noori

jo zindagi mein kabhi justuju nahin karta

Ibrahim Noori

MORE BYIbrahim Noori

    jo zindagī meñ kabhī justujū nahīñ kartā

    mirā ḳhudā bhī use suraḳh-rū nahīñ kartā

    ye merā dil to dhaḌaktā hai zāhiran lekin

    kisī bhī shai ye dil aarzū nahīñ kartā

    kisī ke qurb ne mujh ko banā diyā shā.ir

    vagarna shā.irī maiñ to kabhū nahīñ kartā

    kisī ne dekh liyā to kahegā dīvāna

    jo apnā chāk-e-garebāñ rafū nahīñ kartā

    jo jaisā hai use vaisā ye dikhātā hai

    ye aa.ina to kabhī bhī ġhulū nahīñ kartā

    maiñ aise shaḳhs āñkhoñ ko paak samjhūñgā

    nazar jo sū-e-zan-e-ḳhūb-rū nahīñ kartā

    faqīr huuñ tire dar tujhe sadā hai

    ai jān-e-jāñ maiñ sadā kū-ba-kū nahīñ kartā

    vo jis ne beach ke zevar tujhe paḌhāyā thā

    ajab hai phone tak us maañ ko nahīñ kartā

    hamārā ishq abhī hāl-e-ehtizār meñ hai

    to phir use koī kyoñ qibla-rū nahīñ kartā

    mahak rahī haiñ fazā.eñ guloñ ḳhushbū se

    chaman meñ rah ke ehsās-e-bū nahīñ kartā

    zamīn-e-sher ho banjar to us zamīñ pe kabhī

    daraḳht sher-o-suḳhan numū nahīñ kartā

    kitāb-e-ishq ko chhūne ke vāste 'nūrī'

    vuzū zarūrī hai to kyoñ vuzū nahīñ kartā

    jo zindagi mein kabhi justuju nahin karta

    mera KHuda bhi use suraKH-ru nahin karta

    ye mera dil to dhaDakta hai zahiran lekin

    kisi bhi shai ki ye dil aarzu nahin karta

    kisi ke qurb ne mujh ko bana diya shair

    wagarna shairi main to kabhu nahin karta

    kisi ne dekh liya to kahega diwana

    jo apna chaak-e-gareban rafu nahin karta

    jo jaisa hai use waisa hi ye dikhata hai

    ye aaina to kabhi bhi ghulu nahin karta

    main aise shaKHs ki aankhon ko pak samjhunga

    nazar jo su-e-zan-e-KHub-ru nahin karta

    faqir hun tere dar ka tujhe sada di hai

    ai jaan-e-jaan main sada ku-ba-ku nahin karta

    wo jis ne beach ke zewar tujhe paDhaya tha

    ajab hai phone tak us man ko tu nahin karta

    hamara ishq abhi haal-e-ehtizar mein hai

    to phir use koi kyon qibla-ru nahin karta

    mahak rahi hain fazaen gulon ki KHushbu se

    chaman mein rah ke tu ehsas-e-bu nahin karta

    zamin-e-sher ho banjar to us zamin pe kabhi

    daraKHt sher-o-suKHan ka numu nahin karta

    kitab-e-ishq ko chhune ke waste 'nuri'

    wuzu zaruri hai to kyon wuzu nahin karta

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now