Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

josh-e-wahshat mein gareban pe nazar hai shayad

Ahmad Armani

josh-e-wahshat mein gareban pe nazar hai shayad

Ahmad Armani

MORE BYAhmad Armani

    josh-e-vahshat meñ garebāñ pe nazar hai shāyad

    yahī dīvāne sāmān-e-safar hai shāyad

    maiñ to sirf aap badnāmī kartā huuñ ḳhayāl

    aap ko bhī mirī rusvā.ī Dar hai shāyad

    un ke dāman pe jo Tapkā thā ḳhushī aañsū

    maiñ to samjhā thā daraḳhshanda guhar hai shāyad

    rauñdā jaatā hai jo pairoñ se abas maqtal meñ

    ye kisī āshiq-e-nākām sar hai shāyad

    be-piye hosh-farāmosh haiñ saare mai-kash

    un maḳhmūr nigāhoñ asar hai shāyad

    zulf-o-ruḳh dekh ke 'ahmad' ye gumāñ hotā hai

    shaam god meñ betāb sahar hai shāyad

    josh-e-wahshat mein gareban pe nazar hai shayad

    yahi diwane ka saman-e-safar hai shayad

    main to sirf aap ki badnami ka karta hun KHayal

    aap ko bhi meri ruswai ka Dar hai shayad

    un ke daman pe jo Tapka tha KHushi ka aansu

    main to samjha tha daraKHshanda guhar hai shayad

    raunda jata hai jo pairon se abas maqtal mein

    ye kisi aashiq-e-nakaam ka sar hai shayad

    be-piye hosh-faramosh hain sare mai-kash

    un ki maKHmur nigahon ka asar hai shayad

    zulf-o-ruKH dekh ke 'ahmad' ye guman hota hai

    sham ki god mein betab sahar hai shayad

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 53)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now