josh mein had se na hum guzra karen
josh meñ had se na ham guzrā kareñ
kaash kuchh sochā kareñ samjhā kareñ
tīrgī meñ dil darīcha khol kar
achchhī achchhī sūrateñ dekhā kareñ
kyā kisī se pyaar karnā 'aib hai
rokte haiñ log to rokā kareñ
dostī meñ fā.ede kā kyā savāl
aa.iye nuqsān kā saudā kareñ
dil kī kyā hālat huī mat pūchhiye
aap ne to kah diyā ham kyā kareñ
sach ke dā'vedār bante haiñ 'sha'ūr'
un se kahnā jhuuT kam bolā kareñ
josh mein had se na hum guzra karen
kash kuchh socha karen samjha karen
tirgi mein dil daricha khol kar
achchhi achchhi suraten dekha karen
kya kisi se pyar karna 'aib hai
rokte hain log to roka karen
dosti mein faede ka kya sawal
aaiye nuqsan ka sauda karen
dil ki kya haalat hui mat puchhiye
aap ne to kah diya hum kya karen
sach ke da'wedar bante hain 'sha'ur'
un se kahna jhuT kam bola karen
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 147)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.