Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

josh par aaya nahin hai raqs-e-mastana abhi

Raeesuddin Fareedi

josh par aaya nahin hai raqs-e-mastana abhi

Raeesuddin Fareedi

MORE BYRaeesuddin Fareedi

    josh par aayā nahīñ hai raqs-e-mastāna abhī

    rahne do gardish meñ thoḌī der paimāna abhī

    jaam ḳhālī ho kisī koī ḳhum ke ḳhum chaḌhā.e

    yaar samjhe nahīñ ādāb-e-mai-ḳhāna abhī

    ik zarā pīr-e-muġhāñ de de hameñ bhī iḳhtiyār

    ke joban par dikhā sakte haiñ mai-ḳhāna abhī

    ishq fitrat na badlī hai na badlegī kabhī

    sham.a raushan kījiye aatā hai parvāna abhī

    de diyā dil ham ne puurā ho gayā yuuñ ek baab

    maan jaa.eñ aap to puurā hai afsāna abhī

    sun rahe haiñ aa rahī hai har taraf taaza bahār

    apnā ghar kyuuñ lag rahā hai mujh ko vīrāna abhī

    ai 'farīdī' vo satāte haiñ satā lene bhī do

    kam-sinī hai aur haiñ andāz-e-tiflāna abhī

    josh par aaya nahin hai raqs-e-mastana abhi

    rahne do gardish mein thoDi der paimana abhi

    jam KHali ho kisi ka koi KHum ke KHum chaDhae

    yar samjhe hi nahin aadab-e-mai-KHana abhi

    ek zara pir-e-mughan de de hamein bhi iKHtiyar

    la ke joban par dikha sakte hain mai-KHana abhi

    ishq ki fitrat na badli hai na badlegi kabhi

    shama raushan kijiye aata hai parwana abhi

    de diya dil hum ne pura ho gaya yun ek bab

    man jaen aap to pura hai afsana abhi

    sun rahe hain aa rahi hai har taraf taza bahaar

    apna ghar kyun lag raha hai mujh ko virana abhi

    ai 'faridi' wo satate hain sata lene bhi do

    kam-sini hai aur hain andaz-e-tiflana abhi

    Source :
    • Book : (Beesvin Sadi Main) Maghrabi Bengal Ke urdu Shora (Pg. 111)
    • Author : Mushtaq ahmed M.A
    • Publication : Iqbal Ahmad And Baradars Sayed Suleh Len Kolkata (1972)
    • Edition : 1972
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now