Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

juda hai dard ka mafhum lafz-e-KHwab ke sath

Meer Naqi Ali Khan Saqib

juda hai dard ka mafhum lafz-e-KHwab ke sath

Meer Naqi Ali Khan Saqib

MORE BYMeer Naqi Ali Khan Saqib

    judā hai dard mafhūm lafz-e-ḳhvāb ke saath

    shu.ūr-e-zāt nikhartā hai inqalāb ke saath

    nazar uThā ke to dekho ufuq ke chehre par

    mirī ġhazal taqaddus hai āftāb ke saath

    azal se dasht-o-bayābāñ meñ ghūmtī hai hayāt

    kabhī naqāb se haT kar kabhī naqāb ke saath

    shafaq hai tirī āñkhoñ mauj-e-be-ḳhvābī

    jo ghul rahī hai har ik qatra-e-sharāb ke saath

    guzār haiñ ka.ī intizār shāmeñ

    kuchh iztirāb ḳhātir kuchh iztirāb ke saath

    mire vajūd tanhā.iyoñ ke ziine se

    utar rahā hai sambhal kar koī hijāb ke saath

    rivāyatoñ ke davāvīn dekhne vaalo

    na.e mizāj chehra paḌho kitāb ke saath

    juda hai dard ka mafhum lafz-e-KHwab ke sath

    shuur-e-zat nikharta hai inqalab ke sath

    nazar uTha ke to dekho ufuq ke chehre par

    meri ghazal ka taqaddus hai aaftab ke sath

    azal se dasht-o-bayaban mein ghumti hai hayat

    kabhi naqab se haT kar kabhi naqab ke sath

    shafaq hai ya teri aankhon ki mauj-e-be-KHwabi

    jo ghul rahi hai har ek qatra-e-sharab ke sath

    guzar di hain kai intizar ki shamen

    kuchh iztirab ki KHatir kuchh iztirab ke sath

    mere wajud ki tanhaiyon ke zine se

    utar raha hai sambhal kar koi hijab ke sath

    riwayaton ke dawawin dekhne walo

    nae mizaj ka chehra paDho kitab ke sath

    Source:

    Dasht-e-Narsa (Pg. E-39 B-27)

    • Author: Meer Naqi Ali Khan Saqib
      • Edition: 1973
      • Publisher: Maktaba Sher-o-Hikmat, Hyderabad
      • Year of Publication: 1973
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now