juda ho ke wo pachhtaya nahin tha
judā ho ke vo pachhtāyā nahīñ thā
tasavvur meñ mujhe laayā nahīñ thā
chaman ujḌā thā mere dil kā aise
ki koī sar pe bhī saayā nahīñ thā
mile the mujh ko apnoñ se vo aañsū
kabhī kuchh ġhair se paayā nahīñ thā
koī mujh se bhī kyā kuchh chhīn letā
ba-juz dil koī sarmāya nahīñ thā
koī ḳhushbū na aa.ī saath mere
hinā ne bhī to mahkāyā nahīñ thā
jalā rakkhe the dīpak aas ke bhī
vo vā'da kar ke ghar aayā nahīñ thā
kashish kuchh husn kī us ko nahīñ thī
ye jaadū us pe chal paayā nahīñ thā
mire bistar pe the yādoñ ke kāñTe
kabhī phūloñ se mahkāyā nahīñ thā
mohabbat meñ agar maiñ nā-samajh thī
kabhī us ne bhī samjhāyā nahīñ thā
vo kaisā ham-safar niklā jo mere
kabhī bhī saath chal paayā nahīñ thā
maiñ aisā aa.ina thī jis meñ 'nainā'
koī chehra nazar aayā nahīñ thā
juda ho ke wo pachhtaya nahin tha
tasawwur mein mujhe laya nahin tha
chaman ujDa tha mere dil ka aise
ki koi sar pe bhi saya nahin tha
mile the mujh ko apnon se wo aansu
kabhi kuchh ghair se paya nahin tha
koi mujh se bhi kya kuchh chhin leta
ba-juz dil koi sarmaya nahin tha
koi KHushbu na aai sath mere
hina ne bhi to mahkaya nahin tha
jala rakkhe the dipak aas ke bhi
wo wa'da kar ke ghar aaya nahin tha
kashish kuchh husn ki us ko nahin thi
ye jadu us pe chal paya nahin tha
mere bistar pe the yaadon ke kanTe
kabhi phulon se mahkaya nahin tha
mohabbat mein agar main na-samajh thi
kabhi us ne bhi samjhaya nahin tha
wo kaisa ham-safar nikla jo mere
kabhi bhi sath chal paya nahin tha
main aisa aaina thi jis mein 'naina'
koi chehra nazar aaya nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.