juda hone ka usko bhi bahut sadma hua hoga
judā hone kā us ko bhī bahut sadma huā hogā
vo pahlī baar is andāz se tanhā huā hogā
sunā hogā jab us ne ittifāqan tazkira merā
yaqīnan ek lamhe ko vo sanjīda huā hogā
chalo dekheñ nikal kar aaj phir yādoñ kī duniyā meñ
kam-az-kam ek vo chehra to pahchānā huā hogā
jahāñ har aadmī simTā huā thā zaat meñ apnī
kise apne adhūre-pan kā andāza huā hogā
use ik ittifāqī amr kahnā bhī hai nādānī
huā hai jo bahut sochā bahut samjhā huā hogā
jo merī ḳhāmushī arbāb-e-mahfil ko khalī hogī
to mere lab-kushā hone pe hangāma huā hogā
safar lambā hai jab tak lauT kar aaoge tum 'manzar'
tumhāre shahr kā naqsha bahut badlā huā hogā
juda hone ka us ko bhi bahut sadma hua hoga
wo pahli bar is andaz se tanha hua hoga
suna hoga jab us ne ittifaqan tazkira mera
yaqinan ek lamhe ko wo sanjida hua hoga
chalo dekhen nikal kar aaj phir yaadon ki duniya mein
kam-az-kam ek wo chehra to pahchana hua hoga
jahan har aadmi simTa hua tha zat mein apni
kise apne adhure-pan ka andaza hua hoga
use ek ittifaqi amr kahna bhi hai nadani
hua hai jo bahut socha bahut samjha hua hoga
jo meri KHamushi arbab-e-mahfil ko khali hogi
to mere lab-kusha hone pe hangama hua hoga
safar lamba hai jab tak lauT kar aaoge tum 'manzar'
tumhaare shahr ka naqsha bahut badla hua hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.