Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

juda hue to judai mein ye kamal bhi tha

Naved Raza

juda hue to judai mein ye kamal bhi tha

Naved Raza

MORE BYNaved Raza

    judā hue to judā.ī meñ ye kamāl bhī thā

    ki us se rābta TuuTā bhī thā bahāl bhī thā

    vo jaane vaalā hameñ kis tarah bhulā.egā

    hamāre pesh-e-nazar ek ye savāl bhī thā

    ye ab jo dekh rahe ho ye kuchh nayā to nahīñ

    ye zindagī tamāshā guzishta saal bhī thā

    ye daaġh likkhā thā sailāb ke muqaddar meñ

    mirā makān to pahle se ḳhasta-hāl bhī thā

    juda hue to judai mein ye kamal bhi tha

    ki us se rabta TuTa bhi tha bahaal bhi tha

    wo jaane wala hamein kis tarah bhulaega

    hamare pesh-e-nazar ek ye sawal bhi tha

    ye ab jo dekh rahe ho ye kuchh naya to nahin

    ye zindagi ka tamasha guzishta sal bhi tha

    ye dagh likkha tha sailab ke muqaddar mein

    mera makan to pahle se KHasta-haal bhi tha

    Source:

    Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 217)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now