Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

juda wo hote to hum unki justuju karte

Ratan Pandorwi

juda wo hote to hum unki justuju karte

Ratan Pandorwi

MORE BYRatan Pandorwi

    judā vo hote to ham un justujū karte

    alag nahīñ haiñ to phir kis aarzū karte

    milā na ham ko kabhī arz-e-hāl mauqa.a

    zabāñ na chaltī to āñkhoñ se guftugū karte

    agar ye jānte ham bhī unhīñ sūrat haiñ

    kamāl-e-shauq se apnī justujū karte

    jo ḳhaak chāk-e-jigar hai to purze purze dil

    junūñ ke hosh meñ kis kis ko ham rafū karte

    dil-e-hazīñ ke makīñ agar sadā detā

    tirī talāsh kabhī ham na kū-ba-kū karte

    kamāl-e-josh-e-talab yahī taqāza hai

    hameñ vo DhūñDte ham un justujū karte

    namāz-e-ishq tumhārī qubūl ho jaatī

    agar sharāb se tum ai 'ratan' vazū karte

    juda wo hote to hum un ki justuju karte

    alag nahin hain to phir kis ki aarzu karte

    mila na hum ko kabhi arz-e-haal ka mauqa

    zaban na chalti to aankhon se guftugu karte

    agar ye jaante hum bhi unhin ki surat hain

    kamal-e-shauq se apni hi justuju karte

    jo KHak chaak-e-jigar hai to purze purze dil

    junun ke hosh mein kis kis ko hum rafu karte

    dil-e-hazin ke makin tu agar sada deta

    teri talash kabhi hum na ku-ba-ku karte

    kamal-e-josh-e-talab ka yahi taqaza hai

    hamein wo DhunDte hum un ki justuju karte

    namaz-e-ishq tumhaari qubul ho jati

    agar sharab se tum ai 'ratan' wazu karte

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now