aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

junun-e-shauq ki rahon mein jab apne qadam nikle

Shahid Bhopali

junun-e-shauq ki rahon mein jab apne qadam nikle

Shahid Bhopali

MORE BYShahid Bhopali

    junūn-e-shauq rāhoñ meñ jab apne qadam nikle

    nigār-e-husn zulfoñ ke saare pech-o-ḳham nikle

    ye be-nūrī mire ghar ke ujāloñ ma.āz-allāh

    agar dekheñ añdhere to añdheroñ bhī dam nikle

    ubhāre jā.iye jab tak na ubhre naqsh kāġhaz par

    tarāshe jā.iye jab tak na patthar se sanam nikle

    nahīñ dekhā thā jab tak ḳhud ko samjhe the na jaane kyā

    shu.ūr-e-ishq le kar ā.ina-ḳhāne se ham nikle

    ye hasrat hai sajā luuñ apne hoñToñ par hañsī meñ bhī

    ghaḌī bhar ko mire dil se agar ehsās-e-ġham nikle

    farāz-e-arsh tak kaise pahuñchte vo bhalā 'shāhid'

    fazā-e-tūr had se na aage jo qadam nikle

    junun-e-shauq ki rahon mein jab apne qadam nikle

    nigar-e-husn ki zulfon ke sare pech-o-KHam nikle

    ye be-nuri mere ghar ke ujalon ki maaz-allah

    agar dekhen andhere to andheron ka bhi dam nikle

    ubhaare jaiye jab tak na ubhre naqsh kaghaz par

    tarashe jaiye jab tak na patthar se sanam nikle

    nahin dekha tha jab tak KHud ko samjhe the na jaane kya

    shuur-e-ishq le kar aaina-KHane se hum nikle

    ye hasrat hai saja lun apne honTon par hansi mein bhi

    ghaDi bhar ko mere dil se agar ehsas-e-gham nikle

    faraaz-e-arsh tak kaise pahunchte wo bhala 'shahid'

    faza-e-tur ki had se na aage jo qadam nikle

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 234)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now