Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

junun hai to qafas kab tak qafas ki tiliyan kab tak

Shadan Indauri

junun hai to qafas kab tak qafas ki tiliyan kab tak

Shadan Indauri

MORE BYShadan Indauri

    junūñ hai to qafas kab tak qafas tīliyāñ kab tak

    na aa.egī idhar āḳhir havā-e-gulsitāñ kab tak

    rahegī mere dam se garmī-e-bazm-e-jahāñ kab tak

    fuġhāñ par naaz hai mujh ko magar tāb-e-fuġhāñ kab tak

    mirā afsāna-e-hastī hai afsāna-dar-afsāna

    sunegā koī merī zindagī dāstāñ kab tak

    badal de ḳhud nizām-e-dahr ko gar tujh meñ himmat hai

    karegā intizār-e-inqalāb-e-āsmāñ kab tak

    na kar majbūr ai sayyād mujh ko ḳhud-farebī par

    tere kahne se maiñ samjhūñ qafas ko āshiyāñ kab tak

    kisī din ḳhatm hoñgī ta.ayyun hadeñ āḳhir

    rahegī shauq-e-sajda par ye qaid-e-āstāñ kab tak

    junun hai to qafas kab tak qafas ki tiliyan kab tak

    na aaegi idhar aaKHir hawa-e-gulsitan kab tak

    rahegi mere dam se garmi-e-bazm-e-jahan kab tak

    fughan par naz hai mujh ko magar tab-e-fughan kab tak

    mera afsana-e-hasti hai afsana-dar-afsana

    sunega koi meri zindagi ki dastan kab tak

    badal de KHud nizam-e-dahr ko gar tujh mein himmat hai

    karega intizar-e-inqalab-e-asman kab tak

    na kar majbur ai sayyaad mujh ko KHud-farebi par

    tere kahne se main samjhun qafas ko aashiyan kab tak

    kisi din KHatm hi hongi tayyun ki haden aaKHir

    rahegi shauq-e-sajda par ye qaid-e-astan kab tak

    Source:

    Kulliyat-e-Shadan Indori (Pg. 148)

      • Publisher: Farzandan-e-Shadan Indori
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now