Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

junun ki fasl aai baDh gai tauqir patthar ki

Rasheed lakhnavi

junun ki fasl aai baDh gai tauqir patthar ki

Rasheed lakhnavi

MORE BYRasheed lakhnavi

    junūñ fasl aa.ī baḌh ga.ī tauqīr patthar

    sar-e-shorīda ḳhud karne lagā tadbīr patthar

    ye mushkil kis tarah hal ho nahīñ shamshīr patthar

    dil-e-sayyād patthar gardan-e-naḳhchīr patthar

    binā ā.īna chamkī kis qadar taqdīr patthar

    tumhāre rū-ba-rū aayā zahe tauqīr patthar

    hamāre josh-e-vahshat ne ye ham ko rañg dikhlāyā

    na kuchh taqsīr laḌkoñ na kuchh taqsīr patthar

    nishāñ kuchh aap bhī kar deñ huā dafn aap majnūñ

    pa.e tārīḳh rehlat kījiye tadbīr patthar

    ragoñ meñ merī peshānī josh-e-ḳhūñ huā paidā

    hikāyat likh chukā jab kātib-e-taqdīr patthar

    jo samjhe to mere tere dil ek sūrat hai

    ye hai tasvīr miTTī vo hai tasvīr patthar

    na jis meñ lafz-o-ma.anī hoñ kalām us ko nahīñ kahte

    chaTaknā pattharoñ kab huī taqrīr patthar

    tirā saudā jahāñ par thā rasā.ī ho ga.ī vaañ tak

    paḌā sar par hamāre laḌ ga.ī taqdīr patthar

    lagāyā sañg apne haath se ne mire sar par

    ḳhushā taqdīr merī aur zahe taqdīr patthar

    qasam logo adab se aañkh uThā ke maiñ ne dekhā ho

    tumhāre dar meñ lohe hai zanjīr patthar

    dil-e-saḳht ai 'rashīd'-e-zār apnā hai garāñ ham ko

    bajā hai kis tarah bhārī na ho tasvīr patthar

    junun ki fasl aai baDh gai tauqir patthar ki

    sar-e-shorida KHud karne laga tadbir patthar ki

    ye mushkil kis tarah hal ho nahin shamshir patthar ki

    dil-e-sayyaad patthar gardan-e-naKHchir patthar ki

    bina aaina chamki kis qadar taqdir patthar ki

    tumhaare ru-ba-ru aaya zahe tauqir patthar ki

    hamare josh-e-wahshat ne ye hum ko rang dikhlaya

    na kuchh taqsir laDkon ki na kuchh taqsir patthar ki

    nishan kuchh aap bhi kar den hua dafn aap ka majnun

    pae tariKH rehlat kijiye tadbir patthar ki

    ragon mein meri peshani ki josh-e-KHun hua paida

    hikayat likh chuka jab katib-e-taqdir patthar ki

    jo tu samjhe to mere tere dil ki ek surat hai

    ye hai taswir miTTi ki wo hai taswir patthar ki

    na jis mein lafz-o-mani hon kalam us ko nahin kahte

    chaTakna pattharon ka kab hui taqrir patthar ki

    tera sauda jahan par tha rasai ho gai wan tak

    paDa sar par hamare laD gai taqdir patthar ki

    lagaya sang apne hath se tu ne mere sar par

    KHusha taqdir meri aur zahe taqdir patthar ki

    qasam logo adab se aankh uTha ke main ne dekha ho

    tumhaare dar mein lohe ki hai ya zanjir patthar ki

    dil-e-saKHt ai 'rashid'-e-zar apna hai garan hum ko

    baja hai kis tarah bhaari na ho taswir patthar ki

    Source:

    Gulistan-e-Rasheed (Pg. ghazal-88 page-83)

    • Author: Piyare Sahab Rasheed
      • Edition: 1952
      • Year of Publication: 1952
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now