Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

junun ki rah mein pahle dar-e-jaanana aata hai

Suhail Kakorvi

junun ki rah mein pahle dar-e-jaanana aata hai

Suhail Kakorvi

MORE BYSuhail Kakorvi

    junūñ raah meñ pahle dar-e-jānāna aatā hai

    farāġhat hai phir is ke baad vīrāna aatā hai

    ye dil baat hai aur baat ye dil samajhtā hai

    hamāre paas aksar chal ke ḳhud mai-ḳhāna aatā hai

    karo har gaam par sajde mohabbat taqāza hai

    bahut nazdīk hai aur yaar kāshāna aatā hai

    huī hai kārgar tarkīb mere dil ḳhvāhish

    mujhe bīmār sun kar koī betābāna aatā hai

    lagātī hai gale se sham.a us ko maiñ samajhtā huuñ

    fanā ho kar baqā ke rañg meñ parvāna aatā hai

    shafaq se mai barastī hai ajab gul-rañg hai aalam

    nazar meñ merī sūraj sūrat-e-paimāna aatā hai

    suḳhan hai mo'atabar terā 'suhail' us ne kahā mujh se

    qalam se tere aksar sher ustādāna aatā hai

    junun ki rah mein pahle dar-e-jaanana aata hai

    faraghat hai phir is ke baad hi virana aata hai

    ye dil ki baat hai aur baat ye dil hi samajhta hai

    hamare pas aksar chal ke KHud mai-KHana aata hai

    karo har gam par sajde mohabbat ka taqaza hai

    bahut nazdik hai aur yar ka kashana aata hai

    hui hai kargar tarkib mere dil ki KHwahish ki

    mujhe bimar sun kar koi betabana aata hai

    lagati hai gale se shama us ko main samajhta hun

    fana ho kar baqa ke rang mein parwana aata hai

    shafaq se mai barasti hai ajab gul-rang hai aalam

    nazar mein meri suraj surat-e-paimana aata hai

    suKHan hai mo'atabar tera 'suhail' us ne kaha mujh se

    qalam se tere aksar sher ustadana aata hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now