Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

junun ki sarparasti chahti hai

Mashkoor Mamnoon Qannauji

junun ki sarparasti chahti hai

Mashkoor Mamnoon Qannauji

MORE BYMashkoor Mamnoon Qannauji

    junūñ sarparastī chāhtī hai

    baġhāvat ab bulandī chāhtī hai

    bhulā kar farq sab achchhe bure

    ye duniyā bas taraqqī chāhtī hai

    mareñ hindū musalmāñ būḌhe bachche

    siyāsat sirf kursī chāhtī hai

    takabbur nā-gavārī sabab hai

    ibādat ājizī bhī chāhtī hai

    faqat va.adoñ se ye bujhtī nahīñ hai

    shikam aag roTī chāhtī hai

    ye chingārī siyāsat vatan meñ

    tabāhī tabāhī chāhtī hai

    use 'mashkūr' hai merī tamannā

    magar sab vo marzī chāhtī hai

    junun ki sarparasti chahti hai

    baghawat ab bulandi chahti hai

    bhula kar farq sab achchhe bure ka

    ye duniya bas taraqqi chahti hai

    maren hindu musalman buDhe bachche

    siyasat sirf kursi chahti hai

    takabbur na-gawari ka sabab hai

    ibaadat aajizi bhi chahti hai

    faqat wadon se ye bujhti nahin hai

    shikam ki aag roTi chahti hai

    ye chingari siyasat ki watan mein

    tabahi hi tabahi chahti hai

    use 'mashkur' hai meri tamanna

    magar sab ki wo marzi chahti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now