jurm ka inkishaf karna hai
jurm kā inkishāf karnā hai
ab hameñ e'tirāf karnā hai
ham ko har pal gunāh karne haiñ
tujh ko har pal mu'āf karnā hai
ek girdāb kī tarah jaane
ḳhud kā kab tak tavāf karnā hai
jang laḌnī hai apnī hastī se
ḳhud ko ḳhud ke ḳhilāf karnā hai
kaam lenā hai haq-bayānī se
saarā qissa hī saaf karnā hai
maan jaanā hai ham ko āḳhir meñ
be-sabab iḳhtilāf karnā hai
in chaTānoñ meñ dar khule koī
itnā gahrā shigāf karnā hai
jurm ka inkishaf karna hai
ab hamein e'tiraf karna hai
hum ko har pal gunah karne hain
tujh ko har pal mu'af karna hai
ek girdab ki tarah jaane
KHud ka kab tak tawaf karna hai
jang laDni hai apni hasti se
KHud ko KHud ke KHilaf karna hai
kaam lena hai haq-bayani se
sara qissa hi saf karna hai
man jaana hai hum ko aaKHir mein
be-sabab iKHtilaf karna hai
in chaTanon mein dar khule koi
itna gahra shigaf karna hai
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 90)
- Author :Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.