jurm ye hai ki kabhi sach na bata paenge
jurm ye hai ki kabhī sach na batā pā.eñge
aur sazā ye ki ġhalat maan liye jā.eñge
phir vahī raat vahī chāñd vahī tum vahī maiñ
kyā kisī chhat ke muqaddar meñ likhe jā.eñge
hijr ke māroñ se kuchh aur to hone se rahā
phir udāsī kā koī giit nayā gā.eñge
kab talak tum bhī uThā pāoge ye bār-e-vafā
kab talak ham bhī sadāqat se nibhā pā.eñge
uub jā.egā phir ik roz ye dil duniyā se
aur ham phir terī bāhoñ meñ chale ā.eñge
jurm ye hai ki kabhi sach na bata paenge
aur saza ye ki ghalat man liye jaenge
phir wahi raat wahi chand wahi tum wahi main
kya kisi chhat ke muqaddar mein likhe jaenge
hijr ke maron se kuchh aur to hone se raha
phir udasi ka koi git naya gaenge
kab talak tum bhi uTha paoge ye bar-e-wafa
kab talak hum bhi sadaqat se nibha paenge
ub jaega phir ek roz ye dil duniya se
aur hum phir teri bahon mein chale aaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.