Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

justuju unki dar-e-ghair pe le aai hai

Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

justuju unki dar-e-ghair pe le aai hai

Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

    justujū un dar-e-ġhair pe le aa.ī hai

    ab ḳhudā jaane kahāñ tak mirī rusvā.ī hai

    dil abhī mā.il-e-sad-bādiya-e-paimā.ī hai

    kyuuñ abas ahl-e-chaman anjuman ārā.ī hai

    ham qafas vāloñ ko itnā to batā de koī

    kyā ye sach hai ki gulistāñ meñ bahār aa.ī hai

    tere ġham se mujhe imdād milī hai aksar

    jab tabī.at ġham-e-ayyām se ghabrā.ī hai

    ḳhanda-e-gul bhī vahī girya-e-shabnam bhī vahī

    ham to samjhe the na.e Dhab se bahār aa.ī hai

    is meñ taskīn pahlū na kahīñ maḳhfī ho

    ab tabī.at na.e andāz se ghabrā.ī hai

    kyā sitam hai ki tirī aish bharī duniyā meñ

    terā dīvāna asīr-e-ġham-e-tanhā.ī hai

    ye bhī sach hai ki tamannā hai baa.is ġham

    ye bhī taslīm ki har shaḳhs tamannā.ī hai

    mast o dīvāna o majzūb pe hañsne vaalo

    tum tamāshā jise samjhe ho tamāshā.ī hai

    ek duniyā hai ki hañgāma hañgāma hai

    aur ik maiñ huuñ ki tanhā.ī tanhā.ī hai

    ain mumkin hai ki mujh meñ kamī ho lekin

    sāmne aa.e mohabbat jise raas aa.ī hai

    un se milte mire dil ne kiyā ye mahsūs

    jaise sadiyoñ se mirī un shanāsā.ī hai

    justuju un ki dar-e-ghair pe le aai hai

    ab KHuda jaane kahan tak meri ruswai hai

    dil abhi mail-e-sad-baadiya-e-paimai hai

    kyun abas ahl-e-chaman anjuman aarai hai

    hum qafas walon ko itna to bata de koi

    kya ye sach hai ki gulistan mein bahaar aai hai

    tere gham se mujhe imdad mili hai aksar

    jab tabiat gham-e-ayyam se ghabrai hai

    KHanda-e-gul bhi wahi girya-e-shabnam bhi wahi

    hum to samjhe the nae Dhab se bahaar aai hai

    is mein taskin ka pahlu na kahin maKHfi ho

    ab tabiat nae andaz se ghabrai hai

    kya sitam hai ki teri aish bhari duniya mein

    tera diwana asir-e-gham-e-tanhai hai

    ye bhi sach hai ki tamanna hi hai bais gham ka

    ye bhi taslim ki har shaKHs tamannai hai

    mast o diwana o majzub pe hansne walo

    tum tamasha jise samjhe ho tamashai hai

    ek duniya hai ki hangama hi hangama hai

    aur ek main hun ki tanhai hi tanhai hai

    ain mumkin hai ki mujh hi mein kami ho lekin

    samne aae mohabbat jise ras aai hai

    un se milte hi mere dil ne kiya ye mahsus

    jaise sadiyon se meri un ki shanasai hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now