aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jun fauj ki maftuh ho zanjir mein aawe

Akhtar Saeed

jun fauj ki maftuh ho zanjir mein aawe

Akhtar Saeed

MORE BYAkhtar Saeed

    juuñ fauj ki maftūh ho zanjīr meñ aave

    alfāz lashkar mirī tahrīr meñ aave

    ik ḳhaas ināyat hai ki dete nahīñ mujh ko

    vo dard ki jo panja-e-tadbīr meñ aave

    yaksar rag-e-mansūr himmat se pare hai

    vo ilm ki ik arsa-e-taqtīr meñ aave

    jo chāhe bhare maiñ ne musavvir se kahā thā

    kuchh rang-e-mohabbat mirī tasvīr meñ aave

    vo baat ḳhushā detā hai dil jis gavāhī

    ye kyā ki kaho aglī asātīr meñ aave

    jo hukm tumhārā hai vo vājib hai bilā-shak

    jo arz hamārī hai vo ta.azīr meñ aave

    hai garche bahut mere liye ḳhvāb duniyā

    kuchh aur maza ḳhvāb ta.abīr meñ aave

    jis paas mudāvā nahīñ kuchh āb-o-havā

    lāzim hai mire halqa-e-taqrīr meñ aave

    mumkin nahīñ aadam ke liye shān-e-ḳhudā.ī

    haañ yuuñ ki magar āya-e-tat.hīr meñ aave

    jun fauj ki maftuh ho zanjir mein aawe

    alfaz ka lashkar meri tahrir mein aawe

    ek KHas inayat hai ki dete nahin mujh ko

    wo dard ki jo panja-e-tadbir mein aawe

    yaksar rag-e-mansur ki himmat se pare hai

    wo ilm ki ek arsa-e-taqtir mein aawe

    jo chahe bhare main ne musawwir se kaha tha

    kuchh rang-e-mohabbat meri taswir mein aawe

    wo baat KHusha deta hai dil jis ki gawahi

    ye kya ki kaho agli asatir mein aawe

    jo hukm tumhaara hai wo wajib hai bila-shak

    jo arz hamari hai wo tazir mein aawe

    hai garche bahut mere liye KHwab ki duniya

    kuchh aur maza KHwab ki tabir mein aawe

    jis pas mudawa nahin kuchh aab-o-hawa ka

    lazim hai mere halqa-e-taqrir mein aawe

    mumkin nahin aadam ke liye shan-e-KHudai

    han yun ki magar aaya-e-tathir mein aawe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now