Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaf se nun talak shor macha wahshat hai

Naeem Sarmad

kaf se nun talak shor macha wahshat hai

Naeem Sarmad

MORE BYNaeem Sarmad

    kaaf se nuun talak shor machā vahshat hai

    ya.anī is ahd meñ jo kuchh bhī huā vahshat hai

    lā-makānī meñ makāñ hosh-o-ḳhirad ke nahīñ haiñ

    yuuñ samajh le ki ḳhalāoñ ḳhudā vahshat hai

    vo jo ik baat hai jo tujh ko batā.ī na ga.ī

    vo jo ik raaz hai jo khul na sakā vahshat hai

    ab mirā aks kisī taur nahīñ TūTegā

    mere darvesh ke hoñThoñ duā vahshat hai

    mere maulā se aqīdat jazā hai jannat

    mere maulā se mohabbat jazā hai vahshat hai

    mere bāloñ meñ bhī miTTī hai tire kūche

    mere dāman se bhī rāzī-bā-razā vahshat hai

    naql kartā hai merī hosh meñ aa dīvāne

    mere andāz churāne ko sazā vahshat hai

    kaf se nun talak shor macha wahshat hai

    yani is ahd mein jo kuchh bhi hua wahshat hai

    la-makani mein makan hosh-o-KHirad ke nahin hain

    yun samajh le ki KHalaon ka KHuda wahshat hai

    wo jo ek baat hai jo tujh ko batai na gai

    wo jo ek raaz hai jo khul na saka wahshat hai

    ab mera aks kisi taur nahin TuTega

    mere darwesh ke honThon ki dua wahshat hai

    mere maula se aqidat ki jaza hai jannat

    mere maula se mohabbat ki jaza hai wahshat hai

    mere baalon mein bhi miTTi hai tere kuche ki

    mere daman se bhi raazi-ba-raza wahshat hai

    naql karta hai meri hosh mein aa diwane

    mere andaz churane ko saza wahshat hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now