Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kafir buton ke nam hon kyunkar tamam hifz

Riyaz Khairabadi

kafir buton ke nam hon kyunkar tamam hifz

Riyaz Khairabadi

MORE BYRiyaz Khairabadi

    kāfir butoñ ke naam hoñ kyūñkar tamām hifz

    itne ḳhudā ki ho na sakeñ jin ke naam hifz

    matlab na ḳhabt ho koī fiqra na chhūT jaa.e

    qāsid ne harf harf kiyā sab payām hifz

    ronā mirā ho aur bhī baa.is savāb

    paḌhtā huuñ soz maiñ ne kiye haiñ salām hifz

    dozaḳh Dar nahīñ hai to patthar aag kyā

    kāfir buto hameñ hai ḳhudā kalām hifz

    piite yaad aa ga.e bhūle hue sabaq

    pūchho kisī maqām se hai har maqām hifz

    maiḳhāne meñ namāz jo ne jald ḳhatm

    suura baḌā na thā koī tujh ko imaam hifz

    tujh ko qafas meñ terī sunā.ūñgā guftugū

    sayyād bāteñ haiñ tirī zer-e-dām hifz

    kis ko nahīñ hai qadr hamāre kalām

    logoñ ko hai 'riyāz' hamārā kalām hifz

    kafir buton ke nam hon kyunkar tamam hifz

    itne KHuda ki ho na saken jin ke nam hifz

    matlab na KHabt ho koi fiqra na chhuT jae

    qasid ne harf harf kiya sab payam hifz

    rona mera ho aur bhi bais sawab ka

    paDhta hun soz main ne kiye hain salam hifz

    dozaKH ka Dar nahin hai to patthar ki aag kya

    kafir buto hamein hai KHuda ka kalam hifz

    pite hi yaad aa gae bhule hue sabaq

    puchho kisi maqam se hai har maqam hifz

    maiKHane mein namaz jo ki tu ne jald KHatm

    sura baDa na tha koi tujh ko imam hifz

    tujh ko qafas mein teri sunaunga guftugu

    sayyaad baaten ki hain teri zer-e-dam hifz

    kis ko nahin hai qadr hamare kalam ki

    logon ko hai 'riyaz' hamara kalam hifz

    Source:

    Riyaz Rizwan (Pg. e-288 p-154)

    • Author: Niyaz Ahmad
      • Edition: 1938
      • Publisher: Aazam Steam Press, Hyderabad
      • Year of Publication: 1938
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now