Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaghaz qalam dawat ke andar ruk jata hai

Aasnath Kanwal

kaghaz qalam dawat ke andar ruk jata hai

Aasnath Kanwal

MORE BYAasnath Kanwal

    kāġhaz qalam davāt ke andar ruk jaatā hai

    jo lamha is zaat ke andar ruk jaatā hai

    sūraj din bhar zahr ugaltā rahtā hai

    chāñd zo.am bhī raat ke andar ruk jaatā hai

    pahle saañs jamā detā hai hoñToñ par

    phir vo apnī ghaat ke andar ruk jaatā hai

    nikal nahīñ saktā dhartī banjar-pan

    jo qatra barsāt ke andar ruk jaatā hai

    harf diip havā se kaise uljhegā

    ye nuqta har baat ke andar ruk jaatā hai

    hijr mausam ḳhāmoshī aur raat Dar

    yādoñ bārāt ke andar ruk jaatā hai

    kaghaz qalam dawat ke andar ruk jata hai

    jo lamha is zat ke andar ruk jata hai

    suraj din bhar zahr ugalta rahta hai

    chand ka zoam bhi raat ke andar ruk jata hai

    pahle sans jama deta hai honTon par

    phir wo apni ghat ke andar ruk jata hai

    nikal nahin sakta dharti ka banjar-pan

    jo qatra barsat ke andar ruk jata hai

    harf ka dip hawa se kaise uljhega

    ye nuqta har baat ke andar ruk jata hai

    hijr ka mausam KHamoshi aur raat ka Dar

    yaadon ki baraat ke andar ruk jata hai

    Source:

    Mujalla Dastavez (Pg. 662)

    • Author: Aziz Nabeel
      • Edition: 2013-14
      • Publisher: Edarah Dastavez
      • Year of Publication: 2013-14
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now