Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kajal udas hai to hain be-kal si chuDiyan

Dua Ali

kajal udas hai to hain be-kal si chuDiyan

Dua Ali

MORE BYDua Ali

    kājal udaas hai to haiñ be-kal chūḌiyāñ

    tum ko bulā rahī haiñ ye chanchal chūḌiyāñ

    sāvan mujh ko pyaas hai pyāsī huuñ misl ret

    tujh par baras rahī haiñ ye bādal chūḌiyāñ

    kartī haiñ ḳhuub shor na sone ye mujh ko deñ

    dīvānī ho ga.ī haiñ ye pāgal chūḌiyāñ

    dekho khanak rahī haiñ ye ḳhāmoshiyoñ meñ bhī

    āñkhoñ meñ saj rahī haiñ ye jal-thal chūḌiyāñ

    pal pal ye chhū rahī haiñ mirā jism aur badan

    kartī haiñ mujh ko tañg ye sāñval chūḌiyāñ

    ai shāh-e-dil suhāg nishānī hamārī haiñ

    pyārī haiñ mujh ko jaan se purple chūḌiyāñ

    ḳhushbū mire badan churātī haiñ roz-o-shab

    dekho 'duā' kamāl haiñ sandal chūḌiyāñ

    kajal udas hai to hain be-kal si chuDiyan

    tum ko bula rahi hain ye chanchal si chuDiyan

    sawan ki mujh ko pyas hai pyasi hun misl ret

    tujh par baras rahi hain ye baadal si chuDiyan

    karti hain KHub shor na sone ye mujh ko den

    diwani ho gai hain ye pagal si chuDiyan

    dekho khanak rahi hain ye KHamoshiyon mein bhi

    aankhon mein saj rahi hain ye jal-thal si chuDiyan

    pal pal ye chhu rahi hain mera jism aur badan

    karti hain mujh ko tang ye sanwal si chuDiyan

    ai shah-e-dil suhag nishani hamari hain

    pyari hain mujh ko jaan se purple si chuDiyan

    KHushbu mere badan ki churaati hain roz-o-shab

    dekho 'dua' kamal hain sandal si chuDiyan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now