Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaam mein apne zuhur-e-haq hai aap

Mushafi Ghulam Hamdani

kaam mein apne zuhur-e-haq hai aap

Mushafi Ghulam Hamdani

MORE BYMushafi Ghulam Hamdani

    kaam meñ apne zuhūr-e-haq hai aap

    hazrat-e-ādam ke to maañ thī na baap

    un ko de kuchh, mat zarāfat un se kar

    le na ai nādāñ atītoñ ke sharāp

    ham tahī-dastī meñ bhī kuchh kam nahīñ

    haath meñ raajā ke ho sone chhāp

    āh-o-nāle samajh Tuk zer-o-bam

    saḳht mushkil in suroñ hai alaap

    har koī chāhegā apnī maġhfirat

    hashr meñ sab ko paḌegī āpā-dhāp

    'mus.hafī' mat us ke kūche se nikal

    jab talak dam hai zamīñ vaañ naap

    kaam mein apne zuhur-e-haq hai aap

    hazrat-e-adam ke to man thi na bap

    un ko de kuchh, mat zarafat un se kar

    le na ai nadan atiton ke sharap

    hum tahi-dasti mein bhi kuchh kam nahin

    hath mein raja ke ho sone ki chhap

    aah-o-nale ka samajh Tuk zer-o-bam

    saKHt mushkil in suron ki hai alap

    har koi chahega apni maghfirat

    hashr mein sab ko paDegi aapa-dhap

    'mushafi' mat us ke kuche se nikal

    jab talak dam hai zamin tu wan ki nap

    Source:

    kulliyat-e-mas.hafii(hashtum) (Pg. 25)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now