kanTon ka KHamyaza hai
kāñToñ kā ḳhamyāza hai
phuul abhī tak taaza hai
vo merā hai bas merā
ye bhī to andāza hai
khiḌkī khol ke dekho mat
har manzar darvāza hai
make-up kartī laḌkī sun
kaun se dukh kā ġhāza hai
rishte marte jaate haiñ
har-sū ek janāza hai
kanTon ka KHamyaza hai
phul abhi tak taza hai
wo mera hai bas mera
ye bhi to andaza hai
khiDki khol ke dekho mat
har manzar darwaza hai
make-up karti laDki sun
kaun se dukh ka ghaza hai
rishte marte jate hain
har-su ek janaza hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.