Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kanTon mein hi kuchh zarf-e-samaat nazar aae

Imdad Nizaamii

kanTon mein hi kuchh zarf-e-samaat nazar aae

Imdad Nizaamii

MORE BYImdad Nizaamii

    kāñToñ meñ kuchh zarf-e-samā.at nazar aa.e

    gulshan meñ kahīñ to merī rūdād sunī jaa.e

    is kārgah-e-shīsha meñ ā.īna huuñ maiñ bhī

    chehra nahīñ koī to koī sañg aa.e

    gul-gasht ab zauq na kuchh qadr-e-bahārāñ

    ik umr se huuñ zaḳhmoñ gulzār sajā.e

    manzil hai imkāñ na koī ḳhatm-e-safar

    is ābla-pā.ī ko koī naam diyā jaa.e

    is vādī-e-kohsār meñ patthar nahīñ haiñ

    hai aur bahut kuchh bhī kisī ko to nazar aa.e

    haañ tez bahut tez hai ab vaqt raftār

    is dil karūñ kyā ki jo chal paa.e na ruk paa.e

    tāñbe zamīñ aur sivā neze pe sūraj

    taqdīr ne yuuñ hashr ke āsār dikhā.e

    ik gard-e-masāfat thī jo chehre se na utrī

    vaise to yahāñ ham ne ka.ī shahr basā.e

    'imdād'-nizāmī na suḳhnavar the na shā.er

    kuchh zaḳhm amānat the kisī vahī le aa.e

    kanTon mein hi kuchh zarf-e-samaat nazar aae

    gulshan mein kahin to meri rudad suni jae

    is kargah-e-shisha mein aaina hun main bhi

    chehra nahin koi to koi sang hi aae

    gul-gasht ka ab zauq na kuchh qadr-e-bahaaran

    ek umr se hun zaKHmon ka gulzar sajae

    manzil ka hai imkan na koi KHatm-e-safar ka

    is aabla-pai ko koi nam diya jae

    is wadi-e-kohsar mein patthar hi nahin hain

    hai aur bahut kuchh bhi kisi ko to nazar aae

    han tez bahut tez hai ab waqt ki raftar

    is dil ka karun kya ki jo chal pae na ruk pae

    tanbe si zamin aur siwa neze pe suraj

    taqdir ne yun hashr ke aasar dikhae

    ek gard-e-masafat thi jo chehre se na utri

    waise to yahan hum ne kai shahr basae

    'imdad'-nizami na suKHnawar the na shaer

    kuchh zaKHm amanat the kisi ki wahi le aae

    Source:

    Pakistani Adab (Pg. 351)

    • Author: Dr. Rashid Amjad
      • Edition: 2009
      • Publisher: Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now