aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

karobari shahron mein zehn-o-dil mashinen hain jism karKHana hai

Ainuddin Azim

karobari shahron mein zehn-o-dil mashinen hain jism karKHana hai

Ainuddin Azim

MORE BYAinuddin Azim

    kārobārī shahroñ meñ zehn-o-dil mashīneñ haiñ jism kārḳhāna hai

    jis jitnī āmadanī itnā baḌā us ke hirs dahāna hai

    ye shu.ūr-zāde jo manfa.at-guzīda haiñ haif un nazroñ meñ

    be-ġharaz mulāqāteñ aur ḳhulūs bāteñ fe.al-e-ahmaqāna hai

    apnī zaat se qurbat apne naam se nisbat apne kaam se raġhbat

    apnā ḳhol un ḳhitta-e-marāsim hai kū-e-dostāna hai

    har ḳhushī mahfil meñ qahqahe luTāte haiñ ḳhud lūTte bhī haiñ

    ġham majlisoñ meñ bhī sab apnā apnā sar apnā apnā shāna hai

    jin buland shāḳhoñ par narm-rau havā.eñ haiñ bijliyoñ Dar bhī hai

    irtiqā ke jañgal meñ hādsāt zad par sab āshiyāna hai

    tarz-e-bāġhbānī meñ shiddat-e-numū-ḳhezī kaise gul khilā.egī

    nīm-vā shagūfoñ ke rañg-e-dil-farebī meñ bū-e-tājirāna hai

    jagmagāte bām-o-dar jhilmilāte rauzan haiñ chamchamātī dahlīzeñ

    zāhirī chamak 'āzim' turra-e-sharāfat hai raunaq-e-zamāna hai

    karobari shahron mein zehn-o-dil mashinen hain jism karKHana hai

    jis ki jitni aamadani itna hi baDa us ke hirs ka dahana hai

    ye shuur-zade jo manfat-guzida hain haif un ki nazron mein

    be-gharaz mulaqaten aur KHulus ki baaten feal-e-ahmaqana hai

    apni zat se qurbat apne nam se nisbat apne kaam se raghbat

    apna KHol hi un ka KHitta-e-marasim hai ku-e-dostana hai

    har KHushi ki mahfil mein qahqahe luTate hain KHud hi luTte bhi hain

    gham ki majlison mein bhi sab ka apna apna sar apna apna shana hai

    jin buland shaKHon par narm-rau hawaen hain bijliyon ka Dar bhi hai

    irtiqa ke jangal mein hadsat ki zad par sab ka aashiyana hai

    tarz-e-baghbani mein shiddat-e-numu-KHezi kaise gul khilaegi

    nim-wa shagufon ke rang-e-dil-farebi mein bu-e-tajirana hai

    jagmagate baam-o-dar jhilmilate rauzan hain chamchamati dahlizen

    zahiri chamak 'azim' turra-e-sharafat hai raunaq-e-zamana hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now