Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kash abr kare chadar-e-mahtab ki chori

Insha Allah Khan Insha

kash abr kare chadar-e-mahtab ki chori

Insha Allah Khan Insha

MORE BYInsha Allah Khan Insha

    kaash abr kare chādar-e-mahtāb chorī

    mujh se bhī ho jām-e-mai-e-nāb chorī

    Tuk takiya pe sar dhar ke rahā so to lagā.ī

    sāhab ne hameñ masnad-e-kam-ḳhvāb chorī

    sīmāb ke aañsū vo sadā ro.e ilāhī

    jis ne ho mere dil-e-betāb chorī

    vo ishq ki sach ā.ankhoñ se kājal ko churā le

    kis tarah na āshiq ke kare ḳhvāb chorī

    mujh ko sar-e-bāzār ghisaTvā ke nikālā

    us ne kuchh ḳhāna-e-navvāb chorī

    jis ne ki mire chehre se aab aah uḌā le

    sābit huī us par dur-e-nāyāb chorī

    shab sendh jo daaġh ek chor ne 'inshā'

    to ho ga.ī sab sabr ke asbāb chorī

    kash abr kare chadar-e-mahtab ki chori

    ta mujh se bhi ho jam-e-mai-e-nab ki chori

    Tuk takiya pe sar dhar ke raha so to lagai

    sahab ne hamein masnad-e-kam-KHwab ki chori

    simab ke aansu wo sada roe ilahi

    ki jis ne ho mere dil-e-betab ki chori

    wo ishq ki sach aaankhon se kajal ko chura le

    kis tarah na aashiq ke kare KHwab ki chori

    mujh ko sar-e-bazar ghisaTwa ke nikala

    ki us ne hi kuchh KHana-e-nawwab ki chori

    jis ne ki mere chehre se aab aah uDa le

    sabit hui us par dur-e-nayab ki chori

    shab sendh jo di dagh ki ek chor ne 'insha'

    to ho gai sab sabr ke asbab ki chori

    Source:

    Kulliyat-e-inshaallah khan insha (Pg. 158)

    • Author: Insha Allah Khan Insha
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1876
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now