kab aasman pe chand nikalne se kuchh hua
kab āsmāñ pe chāñd nikalne se kuchh huā
ye to añdherā kam mire jalne se kuchh huā
hotā nahīñ charāġh ke jalne se kuchh yahāñ
dekhā abhī charāġh ke jalne se kuchh huā
nuqsān ab yā naf' ise jo bhī tum kaho
ḳhush huuñ ki raat dil ke pighalne se kuchh huā
kis ne kahā thā tum se ki ye 'ishq zahr hai
dekho mujhe ye zahr nigalne se kuchh huā
is ghar meñ rahne vāloñ ke din raat haiñ vahī
'kāshif-husain' vaqt badalne se kuchh huā
kab aasman pe chand nikalne se kuchh hua
ye to andhera kam mere jalne se kuchh hua
hota nahin charagh ke jalne se kuchh yahan
dekha abhi charagh ke jalne se kuchh hua
nuqsan ab ya naf' ise jo bhi tum kaho
KHush hun ki raat dil ke pighalne se kuchh hua
kis ne kaha tha tum se ki ye 'ishq zahr hai
dekho mujhe ye zahr nigalne se kuchh hua
is ghar mein rahne walon ke din raat hain wahi
'kashif-husain' waqt badalne se kuchh hua
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 103)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.