Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kab bayaban rah mein aaya ye samjha hi nahin

Badiuzzaman Khawar

kab bayaban rah mein aaya ye samjha hi nahin

Badiuzzaman Khawar

MORE BYBadiuzzaman Khawar

    kab bayābāñ raah meñ aayā ye samjhā nahīñ

    chalte rahne ke sivā dhyān aur kuchh thā nahīñ

    karb-e-manzil ho kyā ehsās in ashjār ko

    jin ke saa.e meñ musāfir koī Thahrā nahīñ

    kis ko batlāte ki aa.e haiñ kahāñ se kaun haiñ

    ham faqīroñ kisī ne haal pūchhā nahīñ

    kyā talab kartā kisī se zindagī ḳhūñ-bahā

    mujrmoñ meñ merā qātil koī niklā nahīñ

    be-tahāshā pyaar daulat luTā.ī umr bhar

    dostī ham ne kuchh anjām sochā nahīñ

    ghūmtā paayā gayā thā shahr meñ vo ek din

    phir kisī ne tere dīvāne ko dekhā nahīñ

    dosto 'ḳhāvar' sunā.e kyā tumheñ taaza ġhazal

    muddatoñ se us ne koī sher likkhā nahīñ

    kab bayaban rah mein aaya ye samjha hi nahin

    chalte rahne ke siwa dhyan aur kuchh tha hi nahin

    karb-e-manzil ka ho kya ehsas in ashjar ko

    jin ke sae mein musafir koi Thahra hi nahin

    kis ko batlate ki aae hain kahan se kaun hain

    hum faqiron ka kisi ne haal puchha hi nahin

    kya talab karta kisi se zindagi ka KHun-baha

    mujrmon mein mera qatil koi nikla hi nahin

    be-tahasha pyar ki daulat luTai umr bhar

    dosti ka hum ne kuchh anjam socha hi nahin

    ghumta paya gaya tha shahr mein wo ek din

    phir kisi ne tere diwane ko dekha hi nahin

    dosto 'KHawar' sunae kya tumhein taza ghazal

    muddaton se us ne koi sher likkha hi nahin

    Source:

    siip (Magzin) (Pg. 239)

    • Author: Nasiim Durraani
      • Edition: 39 (Quarterly)
      • Publisher: Fikr-e-Nau
      • Year of Publication: 39 (Quarterly)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now