Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kab ho saka hai dil ka mudawa tere baghair

Nazeer Hussain Siddiqui

kab ho saka hai dil ka mudawa tere baghair

Nazeer Hussain Siddiqui

MORE BYNazeer Hussain Siddiqui

    kab ho sakā hai dil mudāvā tire baġhair

    hogā tirā marīz na achchhā tire baġhair

    sabr-o-qarār-e-ishq 'ibārat tujhī se hai

    bātil hai zabt-e-dard dā'vā tire baġhair

    is tarah ab jahāñ meñ huuñ goyā nahīñ huuñ maiñ

    kaisī badal ga.ī mirī duniyā tire baġhair

    bālīñ par aa ki maut sukūñ se nasīb ho

    jiinā to ab nahīñ hai gavāra tire baġhair

    har mauj-e-mai hai ik rag-e-ḳhūñ-bār hijr meñ

    kyā hoñge aah sāġhar-o-mīnā tire baġhair

    terī tajalliyoñ se haiñ sab tajalliyāñ

    jalva nahīñ hai koī bhī jalvā tire baġhair

    ye barq be-qarār hai dāmān-e-abr meñ

    muztarib hai dil pas-e-parda tire baġhair

    uTh ke kyā chalā ki chalī jaan jism se

    dushvār ho gayā mujhe jaisā tire baġhair

    kyā zikr-e-mehr-o-māh ki ai mehr-o-māh-e-husn

    chamkā na aaj tak koī zarra tire baġhair

    begāna-e-hayāt hai har lamha-e-firāq

    kis tarah sake koī tanhā tire baġhair

    dekhtā hai dekh sakā kab maiñ ġhair ko

    ho sakī na chashm-e-tamāshā tire baġhair

    ai barq-e-husn dil fazā par bhī ik jhalak

    tārīk hai ye tūr-e-tajallī tire baġhair

    zarra bhī apne dasht se begāna ho gayā

    bāham judā haiñ qatra-o-dariyā tire baġhair

    jab nahīñ nazar meñ to nazroñ ko kyā karūñ

    kis kaam ye dīda-e-bīnā tire baġhair

    gar aaj terī qadr nahīñ ai 'junūñ' na ho

    ro.egā apne haal pe fardā tire baġhair

    kab ho saka hai dil ka mudawa tere baghair

    hoga tera mariz na achchha tere baghair

    sabr-o-qarar-e-ishq 'ibarat tujhi se hai

    baatil hai zabt-e-dard ka da'wa tere baghair

    is tarah ab jahan mein hun goya nahin hun main

    kaisi badal gai meri duniya tere baghair

    baalin par aa ki maut sukun se nasib ho

    jina to ab nahin hai gawara tere baghair

    har mauj-e-mai hai ek rag-e-KHun-bar hijr mein

    kya honge aah saghar-o-mina tere baghair

    teri tajalliyon se hain sab ki tajalliyan

    jalwa nahin hai koi bhi jalwa tere baghair

    ye barq be-qarar hai daman-e-abr mein

    ya muztarib hai dil pas-e-parda tere baghair

    tu uTh ke kya chala ki chali jaan jism se

    dushwar ho gaya mujhe jaisa tere baghair

    kya zikr-e-mehr-o-mah ki ai mehr-o-mah-e-husn

    chamka na aaj tak koi zarra tere baghair

    begana-e-hayat hai har lamha-e-firaq

    kis tarah ji sake koi tanha tere baghair

    tu dekhta hai dekh saka kab main ghair ko

    wa ho saki na chashm-e-tamasha tere baghair

    ai barq-e-husn dil ki faza par bhi ek jhalak

    tarik hai ye tur-e-tajalli tere baghair

    zarra bhi apne dasht se begana ho gaya

    baham juda hain qatra-o-dariya tere baghair

    jab tu nahin nazar mein to nazron ko kya karun

    kis kaam ka ye dida-e-bina tere baghair

    gar aaj teri qadr nahin ai 'junun' na ho

    roega apne haal pe farda tere baghair

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now