Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kab is zamin ki samt samundar palaT kar aae

Hakeem Manzoor

kab is zamin ki samt samundar palaT kar aae

Hakeem Manzoor

MORE BYHakeem Manzoor

    kab is zamīñ samt samundar palaT kar aa.e

    iz.hār-e-avvalīñ vo manzar palaT kar aa.e

    jab harf likh diyā hai to kyuuñ mushtahar na ho

    niklā kamāñ se tiir to kyūñkar palaT kar aa.e

    ho saare shahr meñ ye munādī ki jashn ho

    apnī saf meñ haare dilāvar palaT kar aa.e

    be-ḳhabar the vus.at-e-dariyā-e-rang se

    chashm-e-be-hunar the shanāvar palaT kar aa.e

    bāzār pur-hujūm ḳharīdār kam-savād

    chup-chāp le ke apne gul-e-tar palaT kar aa.e

    itne baḳhīl peḌ na dekhe the aaj tak

    be-fasl be-samar mire patthar palaT kar aa.e

    asnām hujūm kabhī is qadar na thā

    in vādiyoñ meñ kaun se aazar palaT kar aa.e

    kyā ik khulā fusūñ hai shafaq rañg dopahar

    kyā raat ho ga.ī hai ki shahpar palaT kar aa.e

    'manzūr' phir zamīñ pe ujālā ho ek baar

    kaash ek baar phir vo payambar palaT kar aa.e

    kab is zamin ki samt samundar palaT kar aae

    izhaar-e-awwalin ka wo manzar palaT kar aae

    jab harf likh diya hai to kyun mushtahar na ho

    nikla kaman se tir to kyunkar palaT kar aae

    ho sare shahr mein ye munadi ki jashn ho

    apni hi saf mein haare dilawar palaT kar aae

    ya be-KHabar the wusat-e-dariya-e-rang se

    ya chashm-e-be-hunar the shanawar palaT kar aae

    bazar pur-hujum KHaridar kam-sawad

    chup-chap le ke apne gul-e-tar palaT kar aae

    itne baKHil peD na dekhe the aaj tak

    be-fasl be-samar mere patthar palaT kar aae

    asnam ka hujum kabhi is qadar na tha

    in wadiyon mein kaun se aazar palaT kar aae

    kya ek khula fusun hai shafaq rang dopahar

    kya raat ho gai hai ki shahpar palaT kar aae

    'manzur' phir zamin pe ujala ho ek bar

    kash ek bar phir wo payambar palaT kar aae

    Source:

    Sher-e-Aasman (Pg. 31)

    • Author: Maktaba aariz
      • Publisher: Maktaba aariz
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now