Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kab ka guzar chuka hai wo mausam shabab ka

Hafeez Shahid

kab ka guzar chuka hai wo mausam shabab ka

Hafeez Shahid

MORE BYHafeez Shahid

    kab guzar chukā hai vo mausam shabāb

    ab zikr hai fuzūl vafā kitāb

    fursat mile to dekh zarā dil aa.ina

    is meñ hai aks tere gunāh-o-savāb

    chup-chāp hāl-e-ahl-e-nazar dekhte raho

    hai kis ke paas vaqt savāl-o-javāb

    har shaḳhs ghir gayā hai na.e iztirāb meñ

    toḌā hai jis ne qufl dar-e-iztirāb

    rakhtā hai tere rū-e-hasīñ se mushābahat

    har shāḳh par sajā hai jo chehra gulāb

    kaafī hai us zaat ke irfān ke liye

    mauj-e-havā ke dosh pe uḌnā sahāb

    'shāhid' jinheñ ḳhabar hai rumūz-hayāt

    rakhte nahīñ hisāb ġham-e-be-hisāb

    kab ka guzar chuka hai wo mausam shabab ka

    ab zikr hai fuzul wafa ki kitab ka

    fursat mile to dekh zara dil ka aaina

    is mein hai aks tere gunah-o-sawab ka

    chup-chap haal-e-ahl-e-nazar dekhte raho

    hai kis ke pas waqt sawal-o-jawab ka

    har shaKHs ghir gaya hai nae iztirab mein

    toDa hai jis ne qufl dar-e-iztirab ka

    rakhta hai tere ru-e-hasin se mushabahat

    har shaKH par saja hai jo chehra gulab ka

    kafi hai us ki zat ke irfan ke liye

    mauj-e-hawa ke dosh pe uDna sahab ka

    'shahid' jinhen KHabar hai rumuz-hayat ki

    rakhte nahin hisab gham-e-be-hisab ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now