Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kab lag sake jafa ko uski wafa-e-alam

Mushafi Ghulam Hamdani

kab lag sake jafa ko uski wafa-e-alam

Mushafi Ghulam Hamdani

MORE BYMushafi Ghulam Hamdani

    kab lag sake jafā ko us vafā-e-ālam

    hai jis har karishma sabr-āzmā-e-ālam

    muhtāj phir jahāñ meñ koī nazar na aatā

    kartā ḳhudā jo mujh ko hājat-ravā-e-ālam

    ham ko to kuchh na sūjhā aave vahī dikhā de

    dekhā ho gar kisī ne kuchh varā-e-ālam

    aalam agar hai hādis to mujh ko batā de

    kyuuñ ab talak hai vo nashv-o-numā-e-ālam

    koi kuchh samjhe is ko par apnī aañkh meñ to

    saath is hudūs ke hai sābit baqā-e-ālam

    vo bhī nazar meñ apnī is vaqt jalva-gar hai

    aalam jo kuchh ki hogā ba.ad-az fanā-e-ālam

    āñkheñ to tujh ko haiñ Tuk dekh to sahī

    hai raast kis ke qad par chaspāñ qabā-e-ālam

    aalam meñ aur ham meñ ik-tarfa raftagī hai

    aalam fidā hai ham par ham haiñ faidā-e-ālam

    ham ibtidā pūchheñ phir baiTh kar haqīqat

    ham ko koī batā de gar intihā-e-ālam

    kyā lutf āshiqī ab rah gayā hamārī

    yaañ āḳhir-e-javānī vaañ ibtidā-e-ālam

    kis ġhuncha-lab mujh ko yaad aa ga.ī hai is dam

    jo tañg ho gayā hai mujh par fazā-e-ālam

    aise se dād-ḳhvāhī mahshar meñ bhī sitam hai

    har ek ġhamza jis ho ḳhūñ-bahā-e-ālam

    kab daad ko kisī pahuñchā vo rū-e-dilkash

    ham ne to us ko paayā hasrat-fazā-e-ālam

    jab ālam-e-hayā se begāna vo nigah thī

    paate the tab bhī us ko ham āshnā-e-ālam

    haiñ 'mus.hafī' ham ab to mānind hādse ke

    dekheñ Tale hai kis din sar se balā-e-ālam

    kab lag sake jafa ko us ki wafa-e-alam

    hai jis ka har karishma sabr-azma-e-alam

    muhtaj phir jahan mein koi nazar na aata

    karta KHuda jo mujh ko hajat-rawa-e-alam

    hum ko to kuchh na sujha aawe wahi dikha de

    dekha ho gar kisi ne kuchh ya wara-e-alam

    aalam agar hai hadis to mujh ko tu bata de

    kyun ab talak hai wo hi nashw-o-numa-e-alam

    koi kuchh hi samjhe is ko par apni aankh mein to

    sath is hudus ke hai sabit baqa-e-alam

    wo bhi nazar mein apni is waqt jalwa-gar hai

    aalam jo kuchh ki hoga baad-az fana-e-alam

    aankhen to tujh ko di hain Tuk dekh to sahi tu

    hai rast kis ke qad par chaspan qaba-e-alam

    aalam mein aur hum mein ik-tarfa raftagi hai

    aalam fida hai hum par hum hain faida-e-alam

    hum ibtida ki puchhen phir baiTh kar haqiqat

    hum ko koi bata de gar intiha-e-alam

    kya lutf aashiqi ka ab rah gaya hamari

    yan aaKHir-e-jawani wan ibtida-e-alam

    kis ghuncha-lab ki mujh ko yaad aa gai hai is dam

    jo tang ho gaya hai mujh par faza-e-alam

    aise se dad-KHwahi mahshar mein bhi sitam hai

    har ek ghamza jis ka ho KHun-baha-e-alam

    kab dad ko kisi ki pahuncha wo ru-e-dilkash

    hum ne to us ko paya hasrat-faza-e-alam

    jab aalam-e-haya se begana wo nigah thi

    pate the tab bhi us ko hum aashna-e-alam

    hain 'mushafi' hum ab to manind hadse ke

    dekhen Tale hai kis din sar se bala-e-alam

    Source:

    kulliyat-e-mas.hafii(divan-e-doom) (Pg. 191)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now