kab mujhe apna dhyan rahta hai
kab mujhe apnā dhyān rahtā hai
tū mujhe is tarah se gahtā hai
us ko dekho to kab se hai ḳhāmosh
koī sun lo vo kuchh to kahtā hai
dekhiye kab dar-e-najāt khule
kab ye ḳhasta makān Dhahtā hai
maiñ bahar-hāl ḳhush hī rahtā huuñ
to mirā dard kaun sahtā hai
kaisā Thahrāv is bahāv meñ hai
kaisā dariyā ye mujh meñ bahtā hai
kab mujhe apna dhyan rahta hai
tu mujhe is tarah se gahta hai
us ko dekho to kab se hai KHamosh
koi sun lo wo kuchh to kahta hai
dekhiye kab dar-e-najat khule
kab ye KHasta makan Dhahta hai
main bahar-haal KHush hi rahta hun
to mera dard kaun sahta hai
kaisa Thahraw is bahaw mein hai
kaisa dariya ye mujh mein bahta hai
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 71)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.